YAAD
To kiya tumhain main kabhi yaad hi nahee aaya !
To kiya tumhain main kabhi yaad hi nahee aaya !
Kisee gulaab ki khushboo ke bikharnay par bhi !
Zara se aab ke aankhon main utarnay par bhi !
Kitaab uthatay huay, Geet koee gaatay huay
Itar lagatay huay, choorian pehentay huay
Sanwar ke der talak aa-eenay ko taktay huay
To kiya tumhain main kabhi yaad hi nahee aaya !
Subha ko uthtay huay, shaam ko tehltay huay,
Neend naa aaye agar karwatain badaltay huay,
Kabhi yoonhi kisee makhsoos dhun ko sun’tay huay
Faarigh okaat main koee kitaab parhtay huay
To kiya tumhain main kabhi yaad hi nahee aaya !
Barastay abr main chat par kabhi kharay hokar,
Kisee ke rooth ke jaanay pe chirchiray hokar,
Kisee saheli se bus yoonhi baat kartay huay,
Kisee khayal main bethay se uth ke chaltay huay,
Kisee bhi raat ko uth kar yoonhi tehltay huay,
To kiya tumhain main kabhi yaad hi nahee aaya !
Akelay yoonhi kabhi apni dhun main chlatay huay,
Kisee ki saalgira par yoonhi behltay huay,
Kisee oonchaee pe tanha sanbhal ke chartay huay,
Utartay chaand ka mojon main aks partay huay,
To kiya tumhain main kabhi yaad hi nahee aaya !
To kiya tumhain main kabhi yaad hi nahee aaya !
Kisee gulaab ko tehni se tor kar bhi nahee,
Kisee darakht ke saaye main beth kar bhi nahee,
Apnay darwazay pe dastak koee sun kar bhi nahee,
Kisee dareecha-e-makaan se jhaank kar bhi nahee,
Apni Kitab main koi naam dekh kar bhi nahee,
Yaad-e-Maazi main kaheen door doob kar bhi nahee,
Kisee bhi shakhs ko khamosh dekh kar bhi nahee,
Kisee bhi aankh ko num dekh kar bhi nahee,
Kaheen lafzon main koi K dekh kar bhi nahee,
Azaan hotay hi aanchal se sar ko dhaktay huay,
To kiya tumhain main kabhi yaad hi nahee aaya !
Submit By Usman